muhabbat mein hua aabaad koi
muhabbat mein hua barbaad koi
main jiski baanh mein jee bhar ke rota
na pehle tha na hoga baad koi
rihaa kardo parindon ko fiza mein
ki ab baahar nahin sayyaad koi
main waapas hoon khada pairo'n pe apne
karo ab theek se barbaad koi
mera har sher keval hiz par hai
mila mujhko nahin ustaad koi
kiya tumko tha jaise yaad maine
kabhi karta mujhe bhi yaad koi
main duniya ghoom kar waapas hoon aaya
mila mujhsa nahin barbaad koi
sitaare kaid hai sab aasmaan mein
zara unko karo azaad koi
मुहब्बत में हुआ आबाद कोई
मुहब्बत में हुआ बर्बाद कोई
मैं जिसकी बाँह में जी भर के रोता
ना पहले था ना होगा बाद कोई
रिहा करदो परिंदों को फिज़ा में
कि अब बाहर नहीं सय्याद कोई
मैं वापस हूँ खड़ा पैरों पे अपने
करो अब ठीक से बर्बाद कोई
मेरा हर शेर केवल हिज़ पर है
मिला मुझको नहीं उस्ताद कोई
किया तुमको था जैसे याद मैंने
कभी करता मुझे भी याद कोई
मैं दुनिया घूम कर वापस हूँ आया
मिला मुझसा नहीं बर्बाद कोई
सितारे कैद है सब आसमाँ में
ज़रा उनको करो आज़ाद कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Verma
our suggestion based on Anand Verma
As you were reading Falak Shayari Shayari