ai do-jahaan ke maalik a'laa hai naam tera | ऐ दो-जहाँ के मालिक आ'ला है नाम तेरा

  - Anisa Haroon Sharwaniya

ai do-jahaan ke maalik a'laa hai naam tera
par dil ki bastiyon mein dekha maqaam tera

mauqoof kab hai jinn-o-ins-o-malaika par
taair bhi naam lete hain subh-o-shaam tera

takhsees ne'maton mein abraar ki nahin kuchh
ashraar par bhi har-dam hai lutf-e-aam tera

had ho gai ki tere mehboob ki zabaan se
ham khaakiyon ko pahuncha yaarab payaam tera

tu parda-daar-e-shab hai to khaaliq-e-sehr hai
khurshid-e-charkh kya hai adnaa ghulaam tera

sab kuchh mita chuki hoon is aarzoo pe yaarab
ho jaaye lauh-e-dil par manqoosh naam tera

ऐ दो-जहाँ के मालिक आ'ला है नाम तेरा
पर दिल की बस्तियों में देखा मक़ाम तेरा

मौक़ूफ़ कब है जिन्न-ओ-इंस-ओ-मलाइका पर
ताइर भी नाम लेते हैं सुब्ह-ओ-शाम तेरा

तख़सीस ने'मतों में अबरार की नहीं कुछ
अशरार पर भी हर-दम है लुत्फ़-ए-आम तेरा

हद हो गई कि तेरे महबूब की ज़बाँ से
हम ख़ाकियों को पहुँचा यारब पयाम तेरा

तू पर्दा-दार-ए-शब है तो ख़ालिक़-ए-सहर है
ख़ुर्शीद-ए-चर्ख़ क्या है अदना ग़ुलाम तेरा

सब कुछ मिटा चुकी हूँ इस आरज़ू पे यारब
हो जाए लौह-ए-दिल पर मनक़ूश नाम तेरा

  - Anisa Haroon Sharwaniya

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anisa Haroon Sharwaniya

As you were reading Shayari by Anisa Haroon Sharwaniya

Similar Writers

our suggestion based on Anisa Haroon Sharwaniya

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari