ab tak tabaahi ke ye ishaare usi ke hain | अब तक तबाही के ये इशारे उसी के हैं - Ansar Etvi

ab tak tabaahi ke ye ishaare usi ke hain
ye takht o taaj isliye saare usi ke hain

dasne ka jiska kaam hi sadiyon se chal raha
ye naag hain usi ke pitaare usi ke hain

har ek shakhs ab bhi mohabbat ke saath hai
jo nafraton mein pal rahe saare usi ke hain

masnad pe usko laake badi bhool ho gai
ab tak diye hue ye khasaare usi ke hain

saains-daan se aage haan ek saai bhi to hai
ye chaand hai usi ka sitaare usi ke hain

अब तक तबाही के ये इशारे उसी के हैं
ये तख़्त ओ ताज इसलिए सारे उसी के हैं

डसने का जिसका काम ही सदियों से चल रहा
ये नाग हैं उसी के पिटारे उसी के हैं

हर एक शख़्स अब भी मोहब्बत के साथ है
जो नफ़रतों में पल रहे सारे उसी के हैं

मसनद पे उसको लाके बड़ी भूल हो गई
अब तक दिए हुए ये ख़सारे उसी के हैं

साइंस-दाँ से आगे हाँ एक साईं भी तो है
ये चाँद है उसी का सितारे उसी के हैं

- Ansar Etvi
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ansar Etvi

As you were reading Shayari by Ansar Etvi

Similar Writers

our suggestion based on Ansar Etvi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari