mujhe bezaar karne ke use bhi khwaab rahte hain | मुझे बेज़ार करने के उसे भी ख़्वाब रहते हैं

  - Ansar Etvi

mujhe bezaar karne ke use bhi khwaab rahte hain
ki jaise saamne kashti ke kuchh girdaab rahte hain

jise dekha gaya ho bas garjane ki hi soorat mein
usi ek abr mein lipate hue sailaab rahte hain

unhin ke saamne aati hai akshar mushkilein saari
vo hi kuchh shakhs jo sabke liye betaab rahte hain

hamaare saath rahkar bhi hamaare ho nahin sakte
hamaari bazm mein aise kai ahbaab rahte hain

मुझे बेज़ार करने के उसे भी ख़्वाब रहते हैं
कि जैसे सामने कश्ती के कुछ गिर्दाब रहते हैं

जिसे देखा गया हो बस गरजने की ही सूरत में
उसी एक अब्र में लिपटे हुए सैलाब रहते हैं

उन्हीं के सामने आती है अक्सर मुश्किलें सारी
वो ही कुछ शख़्स जो सबके लिए बेताब रहते हैं

हमारे साथ रहकर भी हमारे हो नहीं सकते
हमारी बज़्म में ऐसे कई अहबाब रहते हैं

  - Ansar Etvi

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ansar Etvi

As you were reading Shayari by Ansar Etvi

Similar Writers

our suggestion based on Ansar Etvi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari