tum to baat samajh sakte ho | तुम तो बात समझ सकते हो

  - Anshika Shukla

tum to baat samajh sakte ho
har lamhaat samajh sakte ho

mere saath wahan kya guzra
beeti raat samajh sakte ho

aankhen nam hothon par chuppi
ye jazbaat samajh sakte ho

ab vo kuchh bhi nahin kahegi
ehsaasaat samajh sakte ho

tumne uske khwaab mitaaye
apni zaat samajh sakte ho

qaateel ban jaati hai kaise
har baaraat samajh sakte ho

usne mujhko ishq diya tha
ya khairaat samajh sakte ho

ham bheege hain aansu se par
tum barsaat samajh sakte ho

jism ki lat kuchh aisi hai na
din ko raat samajh sakte ho

door karoge tum bhi kah kar
tum haalaat samajh sakte ho

तुम तो बात समझ सकते हो
हर लम्हात समझ सकते हो

मेरे साथ वहाँ क्या गुज़रा
बीती रात समझ सकते हो

आँखें नम होठों पर चुप्पी
ये जज़्बात समझ सकते हो

अब वो कुछ भी नहीं कहेगी
एहसासात समझ सकते हो

तुमने उसके ख़्वाब मिटाए
अपनी ज़ात समझ सकते हो

क़ातिल बन जाती है कैसे
हर बारात समझ सकते हो

उसने मुझको इश्क़ दिया था
या खै़रात समझ सकते हो

हम भीगे हैं आँसू से पर
तुम बरसात समझ सकते हो

जिस्म की लत कुछ ऐसी है ना
दिन को रात समझ सकते हो

दूर करोगे तुम भी कह कर
तुम हालात समझ सकते हो

  - Anshika Shukla

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anshika Shukla

As you were reading Shayari by Anshika Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Anshika Shukla

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari