yun hunar ka hamne ik sauda kiya aur so gaye
ratjago ko raat mein aadha kiya aur so gaye
ishq ki vo ik gali jo ab talak be-jaan hai
khwaab ka din bhar wahin peecha kiya aur so gaye
umr bhar ka tha taqaza ehtiyaatan saath hain
rabt ko hamne bahut gahra kiya aur so gaye
is qadar taari thi vehshat raat dil aur zehan par
ik ghazal ko hamne do-ghazala kiya aur so gaye
mutmain hain ik sitaara shaakh se ham tod kar
vahshaton ko baagh mein barpa kiya aur so gaye
hai ajab sa ik sukoon is tang khasta haal mein
ghar ko apne aag se pakka kiya aur so gaye
khauf ka manzar tha chaaron or in palkon tale
neend ko phir hamne naa-beena kiya aur so gaye
uth gaye the ishq mein ham hijr ki ik chot se
hamne phir ye kaam dobara kiya aur so gaye
chaand ko hamne saja rakha tha kal deewaar par
aasmaan kal raat veeraana kiya aur so gaye
main uljh kar rah gaya tha khaamoshi ke darmiyaan
mera sannaaton ne bantwaara kiya aur so gaye
pyaas ki shiddat thi aur aankhen bhari thi neend se
phir to sayyad jheel ko qatra kiya aur so gaye
यूँ हुनर का हमने इक सौदा किया और सो गए
रतजगो को रात में आधा किया और सो गए
इश्क़ की वो इक गली जो अब तलक बे-जान है
ख़्वाब का दिन भर वहीं पीछा किया और सो गए
उम्र भर का था तक़ाज़ा, एहतियातन साथ हैं
रब्त को हमने बहुत गहरा किया और सो गए
इस क़दर तारी थी वहशत रात दिल और ज़ेहन पर
इक ग़ज़ल को हमने दो-ग़ज़ला किया और सो गए
मुतमइन हैं इक सितारा शाख़ से हम तोड़ कर
वहशतों को बाग़ में बरपा किया और सो गए
है अजब सा इक सुकूँ इस तंग ख़स्ता हाल में
घर को अपने आग से पक्का किया और सो गए
खौफ़ का मंजर था चारों ओर इन पलकों तले
नींद को फिर हमने ना-बीना किया और सो गए
उठ गए थे इश्क़ में हम हिज्र की इक चोट से
हमने फिर ये काम दोबारा किया और सो गए
चाँद को हमने सजा रक्खा था कल दीवार पर
आसमाँ कल रात वीराना किया और सो गए
मैं उलझ कर रह गया था ख़ामुशी के दर्मियाँ
मेरा सन्नाटों ने बँटवारा किया और सो गए
प्यास की शिद्दत थी और आँखें भरी थी नींद से
फिर तो सय्यद झील को क़तरा किया और सो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Sukoon Shayari Shayari