aashiyana tha jahaan mukar gaya | आशियाना था जहाँ मुकर गया - ABHISHEK RANJAN

aashiyana tha jahaan mukar gaya
ik parinda toot kar bikhar gaya

zindagi mein baad baaki raat hai
din usi ke saath hi guzar gaya

bheed mein jo kho gaya tha jaan lo
dard milte hi woh apne ghar gaya

jinke hone se mera tha aashiyaan
aaj unhin nazar se main utar gaya

bhool jaane mein hi ab bhalaai hai
saj sanwar ke gair ke woh ghar gaya

khwaab dekhe the jo mere saath ke
aaj kahti hai mujhe main mar gaya

आशियाना था जहाँ मुकर गया
इक परिंदा टूट कर बिखर गया

ज़िंदगी में बाद बाक़ी रात है
दिन उसी के साथ ही गुज़र गया

भीड़ में जो खो गया था जान लो
दर्द मिलते ही वह अपने घर गया

जिनके होने से मेरा था आशियाँ
आज उन्हीं नज़र से मैं उतर गया

भूल जाने में ही अब भलाई है
सज सँवर के ग़ैर के वह घर गया

ख़्वाब देखे थे जो मेरे साथ के
आज कहती है मुझे मैं मर गया

- ABHISHEK RANJAN
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ABHISHEK RANJAN

As you were reading Shayari by ABHISHEK RANJAN

Similar Writers

our suggestion based on ABHISHEK RANJAN

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari