bichhad jaane pe koi bhi kisi se mar nahin jaata
mere dil se bichhad jaane ka phir bhi dar nahin jaata
vo aata hai to sab se pehle milta hai mujhe lekin
vo jaate waqt kyun mujh se kabhi milkar nahin jaata
ye yaadein jaane waalon ki tabhi tak dard deti hain
ki jab tak dard ko hi waqt marham kar nahin jaata
har ik shay mil gai mujhko do-aalam ki tere dar se
kabhi bhi haath failaane main ab ghar-ghar nahin jaata
hamein bichhde hue to ho gaye barson magar jassar
judaai ka in aankhon se wahi manzar nahin jaata
बिछड़ जाने पे कोई भी किसी से मर नहीं जाता
मेरे दिल से बिछड़ जाने का फिर भी डर नहीं जाता
वो आता है तो सब से पहले मिलता है मुझे लेकिन
वो जाते वक़्त क्यों मुझ से कभी मिलकर नहीं जाता
ये यादें जाने वालों की तभी तक दर्द देती हैं
कि जब तक दर्द को ही वक़्त मरहम कर नहीं जाता
हर इक शय मिल गई मुझको दो-आलम की तेरे दर से
कभी भी हाथ फैलाने मैं अब घर-घर नहीं जाता
हमें बिछड़े हुए तो हो गए बरसों मगर "जस्सर"
जुदाई का इन आँखों से वही मंज़र नहीं जाता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser
our suggestion based on Avtar Singh Jasser
As you were reading Aah Shayari Shayari