tumhaari yaad yun ehsaas-e-tanhaai badhaati hai | तुम्हारी याद यूँ एहसास-ए-तन्हाई बढ़ाती है

  - Badr Mohammadi

tumhaari yaad yun ehsaas-e-tanhaai badhaati hai
ki jaise qeematen cheezein ki mehngaai badhaati hai

nazar aati hai duniya khoobsurat dekh kar tum ko
tumhaari deed in aankhon ki beenaai badhaati hai

kisi ki aankhon mein gharqaab ho kar ham ne ye jaana
nadi ki qadr-o-qeemat us ki gehraai badhaati hai

agar dil ho kushaada to khushi rahti hai chehre par
gharo ki raunqen jis tarah anganaai badhaati hai

mohabbat mein izaafe se miyaan hushiyaar hi rahna
ye aisi nek-naami hai jo ruswaai badhaati hai

qayamat hai nahin kuchh dekhta apne siva koi
ye duniya kis liye phir bazm-aaraai badhaati hai

mulaqaaton se koi badr hai gumnaam sa lekin
meri gosha-nasheeni hi shanaasaai badhaati hai

तुम्हारी याद यूँ एहसास-ए-तन्हाई बढ़ाती है
कि जैसे क़ीमतें चीज़ों की महँगाई बढ़ाती है

नज़र आती है दुनिया ख़ूबसूरत देख कर तुम को
तुम्हारी दीद इन आँखों की बीनाई बढ़ाती है

किसी की आँखों में ग़र्क़ाब हो कर हम ने ये जाना
नदी की क़द्र-ओ-क़ीमत उस की गहराई बढ़ाती है

अगर दिल हो कुशादा तो ख़ुशी रहती है चेहरे पर
घरों की रौनक़ें जिस तरह अँगनाई बढ़ाती है

मोहब्बत में इज़ाफ़े से मियाँ हुशियार ही रहना
ये ऐसी नेक-नामी है जो रुस्वाई बढ़ाती है

क़यामत है नहीं कुछ देखता अपने सिवा कोई
ये दुनिया किस लिए फिर बज़्म-आराई बढ़ाती है

मुलाक़ातों से कोई 'बद्र' है गुमनाम सा लेकिन
मिरी गोशा-नशीनी ही शनासाई बढ़ाती है

  - Badr Mohammadi

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Mohammadi

As you were reading Shayari by Badr Mohammadi

Similar Writers

our suggestion based on Badr Mohammadi

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari