aariz ki taab saaya-e-gesoo ghazal mein hai | आरिज़ की ताब साया-ए-गेसू ग़ज़ल में है

  - Badr Mohammadi

aariz ki taab saaya-e-gesoo ghazal mein hai
ya'ni ki dhoop chaanv ka jaadu ghazal mein hai

bazm-e-sukhan na pooch mo'attar hai kis liye
gulhaa-e-ranga-rang ki khushboo ghazal mein hai

saka qubool qaafiya paimaai ko nahin
be-wazn hona mat ki taraazu ghazal mein hai

karta hoon tere zikr se arz apni baat main
kab koi imtiyaaz-e-man-o-tu ghazal mein hai

har ik ghazal hai meer taqi meer aadatan
ho ya na ho hasi magar aansu ghazal mein hai

kahiye tamaam shayari ki aabroo use
tarz-e-bayaan kuchh aur hi urdu ghazal mein hai

aurat se guftugoo ko nahin tool deejie
eijaaz-o-ikhtisaar ka pahluu ghazal mein hai

आरिज़ की ताब साया-ए-गेसू ग़ज़ल में है
या'नी कि धूप छाँव का जादू ग़ज़ल में है

बज़्म-ए-सुख़न न पूछ मोअ'त्तर है किस लिए
गुलहा-ए-रंगा-रंग की ख़ुशबू ग़ज़ल में है

सकता क़ुबूल क़ाफ़िया पैमाई को नहीं
बे-वज़्न होना मत कि तराज़ू ग़ज़ल में है

करता हूँ तेरे ज़िक्र से अर्ज़ अपनी बात मैं
कब कोई इमतियाज़-ए-मन-ओ-तू ग़ज़ल में है

हर इक ग़ज़ल है मीर तक़ी 'मीर' आदतन
हो या न हो हँसी मगर आँसू ग़ज़ल में है

कहिए तमाम शायरी की आबरू उसे
तर्ज़-ए-बयाँ कुछ और ही उर्दू ग़ज़ल में है

औरत से गुफ़्तुगू को नहीं तूल दीजिए
ईजाज़-ओ-इख़्तिसार का पहलू ग़ज़ल में है

  - Badr Mohammadi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badr Mohammadi

As you were reading Shayari by Badr Mohammadi

Similar Writers

our suggestion based on Badr Mohammadi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari