waqif hain ham ki hazrat-e-gham aise shakhs hain | वाक़िफ़ हैं हम कि हज़रत-ए-ग़म ऐसे शख़्स हैं

  - Bahadur Shah Zafar

waqif hain ham ki hazrat-e-gham aise shakhs hain
aur phir ham un ke yaar hain ham aise shakhs hain

deewane tere dasht mein rakkhenge jab qadam
majnoon bhi lega un ke qadam aise shakhs hain

jin pe hon aise zulm o sitam ham nahin vo log
hon roz balki lutf o karam aise shakhs hain

yun to bahut hain aur bhi khoobaan-e-dil-fareb
par jaise pur-fan aap hain kam aise shakhs hain

kya kya jafaa-kasho pe hain un dilbaron ke zulm
aison ke sahte aise sitam aise shakhs hain

deen kya hai balki deejie eimaan bhi unhen
zaahid ye but khuda ki qasam aise shakhs hain

aazurda hoon adoo ke jo kehne pe ai zafar
ne aise shakhs vo hain na ham aise shakhs hain

वाक़िफ़ हैं हम कि हज़रत-ए-ग़म ऐसे शख़्स हैं
और फिर हम उन के यार हैं हम ऐसे शख़्स हैं

दीवाने तेरे दश्त में रक्खेंगे जब क़दम
मजनूँ भी लेगा उन के क़दम ऐसे शख़्स हैं

जिन पे हों ऐसे ज़ुल्म ओ सितम हम नहीं वो लोग
हों रोज़ बल्कि लुत्फ़ ओ करम ऐसे शख़्स हैं

यूँ तो बहुत हैं और भी ख़ूबान-ए-दिल-फ़रेब
पर जैसे पुर-फ़न आप हैं कम ऐसे शख़्स हैं

क्या क्या जफ़ा-कशों पे हैं उन दिलबरों के ज़ुल्म
ऐसों के सहते ऐसे सितम ऐसे शख़्स हैं

दीं क्या है बल्कि दीजिए ईमान भी उन्हें
ज़ाहिद ये बुत ख़ुदा की क़सम ऐसे शख़्स हैं

आज़ुर्दा हूँ अदू के जो कहने पे ऐ 'ज़फ़र'
ने ऐसे शख़्स वो हैं न हम ऐसे शख़्स हैं

  - Bahadur Shah Zafar

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari