waan iraada aaj us qaateel ke dil mein aur hai | वाँ इरादा आज उस क़ातिल के दिल में और है

  - Bahadur Shah Zafar

waan iraada aaj us qaateel ke dil mein aur hai
aur yahan kuchh aarzoo bismil ke dil mein aur hai

vasl ki theharaave zalim to kisi soorat se aaj
warna thehri kuchh tire maail ke dil mein aur hai

hai hilaal o badr mein ik noor par jo raushni
dil mein naqis ke hai vo kaamil ke dil mein aur hai

pehle to milta hai dildaari se kya kya dilruba
baandhta mansoobe phir vo mil ke dil mein aur hai

hai mujhe baad-az-sawaal-e-bosaa khwaahish vasl ki
ye tamannaa ek is sail ke dil mein aur hai

go vo mehfil mein na bola pa gaye chitwan se ham
aaj kuchh us raunaq-e-mehfil ke dil mein aur hai

yun to hai vo hi dil-e-aalam ke dil mein ai zafar
us ka aalam mard-e-saahib dil ke dil mein aur hai

वाँ इरादा आज उस क़ातिल के दिल में और है
और यहाँ कुछ आरज़ू बिस्मिल के दिल में और है

वस्ल की ठहरावे ज़ालिम तो किसी सूरत से आज
वर्ना ठहरी कुछ तिरे माइल के दिल में और है

है हिलाल ओ बद्र में इक नूर पर जो रौशनी
दिल में नाक़िस के है वो कामिल के दिल में और है

पहले तो मिलता है दिलदारी से क्या क्या दिलरुबा
बाँधता मंसूबे फिर वो मिल के दिल में और है

है मुझे बाद-अज़-सवाल-ए-बोसा ख़्वाहिश वस्ल की
ये तमन्ना एक इस साइल के दिल में और है

गो वो महफ़िल में न बोला पा गए चितवन से हम
आज कुछ उस रौनक़-ए-महफ़िल के दिल में और है

यूँ तो है वो ही दिल-ए-आलम के दिल में ऐ 'ज़फ़र'
उस का आलम मर्द-ए-साहब दिल के दिल में और है

  - Bahadur Shah Zafar

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari