jars aur saarbaanon tak pahunchana chahta hai | जरस और सारबानों तक पहुँचना चाहता है

  - Daniyal Tareer

jars aur saarbaanon tak pahunchana chahta hai
ye dil agle zamaanon tak pahunchana chahta hai

junooni ho gaya hai mere daryaon ka paani
pahaadon ke gharaanon tak pahunchana chahta hai

guzarna chahti hai baadlon se meri hairat
mera shak aasmaanon tak pahunchana chahta hai

patanga ek paagal ho gaya hai raushni mein
farishton ki uraano tak pahunchana chahta hai

kasaafat khatm kar ke jism ki mitti ka putla
khuda ke kaar-khaano tak pahunchana chahta hai

nahin aaya ye azdar parbaton ki sair karne
zameenon ke khazaano tak pahunchana chahta hai

darinde saath rahna chahte hain aadmi ke
ghana jungle makaanon tak pahunchana chahta hai

जरस और सारबानों तक पहुँचना चाहता है
ये दिल अगले ज़मानों तक पहुँचना चाहता है

जुनूनी हो गया है मेरे दरियाओं का पानी
पहाड़ों के घरानों तक पहुँचना चाहता है

गुज़रना चाहती है बादलों से मेरी हैरत
मिरा शक आसमानों तक पहुँचना चाहता है

पतंगा एक पागल हो गया है रौशनी में
फ़रिश्तों की उड़ानों तक पहुँचना चाहता है

कसाफ़त ख़त्म कर के जिस्म की मिट्टी का पुतला
ख़ुदा के कार-ख़ानों तक पहुँचना चाहता है

नहीं आया ये अज़दर पर्बतों की सैर करने
ज़मीनों के ख़ज़ानों तक पहुँचना चाहता है

दरिंदे साथ रहना चाहते हैं आदमी के
घना जंगल मकानों तक पहुँचना चाहता है

  - Daniyal Tareer

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daniyal Tareer

As you were reading Shayari by Daniyal Tareer

Similar Writers

our suggestion based on Daniyal Tareer

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari