waqt aur na-waqt ke ma-bain
kitna fasla
kitna khala
kitni ghaneeri khaamoshi hai
jaanne ki koshishon mein
aankh ki aur dil ki ujli aankh ki
beenaaiyaan kam pad gai hain
sochta hoon
soch ka koi parinda bhej kar
is hadd-e-la-hadd ka
koi andaaza kar luun
khud se kehta hoon
tujhe maaloom hai
ye kaam sochon ke parindon ka nahin
takh'eel ka hai
jo parinda ghaib ki is jheel ka hai
jis mein sab na-deedagan ke
aks bante raqs karte hain
inhi na-deedagan mein
waqt aur na-waqt ke ma-bain ka
vo fasla aur vo khala aur vo ghaneeri khaamoshi
bhi ho to kya maaloom
bahte aks un ke taair-e-takhail ke shahpar se lipate saath aa jaayen
ye gehre bhed mere haath aa jaayen
वक़्त और ना-वक़्त के मा-बैन
कितना फ़ासला
कितना ख़ला
कितनी घनेरी ख़ामुशी है
जानने की कोशिशों में
आँख की और दिल की उजली आँख की
बीनाइयाँ कम पड़ गई हैं
सोचता हूँ
सोच का कोई परिंदा भेज कर
इस हद्द-ए-ला-हद का
कोई अंदाज़ा कर लूँ
ख़ुद से कहता हूँ
तुझे मालूम है
ये काम सोचों के परिंदों का नहीं
तख़्ईल का है
जो परिंदा ग़ैब की इस झील का है
जिस में सब ना-दीदगाँ के
अक्स बनते रक़्स करते हैं
इन्ही ना-दीदगाँ में
वक़्त और ना-वक़्त के मा-बैन का
वो फ़ासला और वो ख़ला और वो घनेरी ख़ामुशी
भी हो तो क्या मालूम
बहते अक्स उन के ताइर-ए-तख़्ईल के शहपर से लिपटे साथ आ जाएँ
ये गहरे भेद मेरे हाथ आ जाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daniyal Tareer
our suggestion based on Daniyal Tareer
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari