main jab tavahhumaat se yaksar guzar gaya
apni hi shakl dekh ke kyun aaj dar gaya
kal tak jo shor karte the khaamosh ho gaye
shaayad ki shehar mein koi deewaana mar gaya
be-aks aaina to kisi kaam ka na tha
pathraav kyun hua ki vo toota bikhar gaya
raahon ne aankhen moond leen anjaane khauf se
ik haadse ko saath liye vo jidhar gaya
hairaan hoon ki door se aaya tha mere saath
apni kahaani kah ke na jaane kidhar gaya
मैं जब तवहहुमात से यकसर गुज़र गया
अपनी ही शक्ल देख के क्यों आज डर गया
कल तक जो शोर करते थे ख़ामोश हो गए
शायद कि शहर में कोई दीवाना मर गया
बे-अक्स आइना तो किसी काम का न था
पथराव क्यों हुआ कि वो टूटा बिखर गया
राहों ने आँखें मूँद लीं अनजाने ख़ौफ़ से
इक हादसे को साथ लिए वो जिधर गया
हैरान हूँ कि दूर से आया था मेरे साथ
अपनी कहानी कह के न जाने किधर गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri
our suggestion based on Daood Kaashmiri
As you were reading Gaon Shayari Shayari