soorat se jo dikhaai diye the gareeb se | सूरत से जो दिखाई दिए थे ग़रीब से

  - Daood Kaashmiri

soorat se jo dikhaai diye the gareeb se
ab rashk har kisi ko hai un ke naseeb se

phir us ke ba'ad ham bhi jalen toor ki tarah
bas ek baar dekh len un ko qareeb se

jab sang-reza hamdam-e-deerina ho gaye
to tishnagi bujha gaye jo the raqeeb se

be-fikr be-khabar chala jaata tha ik hujoom
tham jaao ik sada thi vo kis ki saleeb se

सूरत से जो दिखाई दिए थे ग़रीब से
अब रश्क हर किसी को है उन के नसीब से

फिर उस के बा'द हम भी जलें तूर की तरह
बस एक बार देख लें उन को क़रीब से

जब संग-रेज़ा हमदम-ए-देरीना हो गए
तो तिश्नगी बुझा गए जो थे रक़ीब से

बे-फ़िक्र बे-ख़बर चला जाता था इक हुजूम
थम जाओ इक सदा थी वो किस की सलीब से

  - Daood Kaashmiri

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daood Kaashmiri

As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Daood Kaashmiri

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari