be-khabar apne muqaddar se raha pahle-pahl
jab qadam shahr-e-zulekha mein rakha pahle-pahl
baazgasht us ki hain jitni bhi ye aawaazen hain
har taraf goonj gai ek sada pahle-pahl
apni manzil ka wahin ho gaya irfaan mujhe
jab mila raah mein ik naqsh-e-wafa pahle-pahl
log pehchaan na paaye kisi deewane ko
jaane kis tarah ye dastoor bana pahle-pahl
aaj har shakhs ko daava hai khudaai ka yahan
jab ki har shakhs ka tha ek khuda pahle-pahl
बे-ख़बर अपने मुक़द्दर से रहा पहले-पहल
जब क़दम शहर-ए-ज़ुलेख़ा में रखा पहले-पहल
बाज़गश्त उस की हैं जितनी भी ये आवाज़ें हैं
हर तरफ़ गूँज गई एक सदा पहले-पहल
अपनी मंज़िल का वहीं हो गया इरफ़ान मुझे
जब मिला राह में इक नक़्श-ए-वफ़ा पहले-पहल
लोग पहचान न पाए किसी दीवाने को
जाने किस तरह ये दस्तूर बना पहले-पहल
आज हर शख़्स को दावा है ख़ुदाई का यहाँ
जब कि हर शख़्स का था एक ख़ुदा पहले-पहल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri
our suggestion based on Daood Kaashmiri
As you were reading Aadmi Shayari Shayari