nava-e-zeest se milti meri nava to nahin | नवा-ए-ज़ीस्त से मिलती मिरी नवा तो नहीं

  - Daood Kaashmiri

nava-e-zeest se milti meri nava to nahin
meri nava mein chhupi si tiri sada to nahin

sukoot naghma-saraai ka muntaha to nahin
khamoshi shokh-bayaani ki ik saza to nahin

kabhi na uljhe hon jis se kabhi na takraaye
dayaar-e-dost mein aisa koi bacha to nahin

udaasiyon mein kami se khayal aata hai
ye khalvatein bhi tiri tarah bewafa to nahin

bas ek harf-e-tamanna bas ek harf-e-dua
hamaari tarah koi yaar se juda to nahin

नवा-ए-ज़ीस्त से मिलती मिरी नवा तो नहीं
मिरी नवा में छुपी सी तिरी सदा तो नहीं

सुकूत नग़्मा-सराई का मुंतहा तो नहीं
ख़मोशी शोख़-बयानी की इक सज़ा तो नहीं

कभी न उलझे हों जिस से कभी न टकराए
दयार-ए-दोस्त में ऐसा कोई बचा तो नहीं

उदासियों में कमी से ख़याल आता है
ये ख़ल्वतें भी तिरी तरह बेवफ़ा तो नहीं

बस एक हर्फ़-ए-तमन्ना बस एक हर्फ़-ए-दुआ
हमारी तरह कोई यार से जुदा तो नहीं

  - Daood Kaashmiri

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daood Kaashmiri

As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Daood Kaashmiri

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari