may-khaane ki raunaq hai juda shaan-e-haram aur | मय-ख़ाने की रौनक़ है जुदा शान-ए-हरम और

  - Daood Kaashmiri

may-khaane ki raunaq hai juda shaan-e-haram aur
may-kash ka mizaaj aur hai zaahid ka bharam aur

naakaami-e-takmeel-e-tamanna hai ik aaghaaz
asbaab-e-gham-e-jaan to abhi honge bahm aur

kuchh dasht-navardi ke to kuchh koh-kani ke
afsaana-e-tashheer-e-wafa honge raqam aur

paspaai pe aamada jo sardaaron ko dekha
ham le ke badhe khoon-e-tamanna ka alam aur

ik lafz ki tafseer bana khoon jigar ka
hai zeest ka mafhoom ki maula ka karam aur

मय-ख़ाने की रौनक़ है जुदा शान-ए-हरम और
मय-कश का मिज़ाज और है ज़ाहिद का भरम और

नाकामी-ए-तकमील-ए-तमन्ना है इक आग़ाज़
अस्बाब-ए-ग़म-ए-जाँ तो अभी होंगे बहम और

कुछ दश्त-नवर्दी के तो कुछ कोह-कनी के
अफ़्साना-ए-तश्हीर-ए-वफ़ा होंगे रक़म और

पस्पाई पे आमादा जो सरदारोँ को देखा
हम ले के बढ़े ख़ून-ए-तमन्ना का अलम और

इक लफ़्ज़ की तफ़्सीर बना ख़ून जिगर का
है ज़ीस्त का मफ़्हूम कि मौला का करम और

  - Daood Kaashmiri

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daood Kaashmiri

As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Daood Kaashmiri

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari