gaye jo kooche mein us ke to itna pyaar mila
magar ye kya ki har ik shakhs be-qaraar mila
bhulaana chaaha tha us ko magar bhula na sake
vo ek shakhs jo raaste mein baar baar mila
haqeeqaton ko fasaanon mein jab se uljhaaya
fareb-o-makr-o-siyaasat ko e'tibaar mila
kisi ne kar diya barbaad is ka gham bhi nahin
isee bahaane zamaane ko raazdaar mila
unhen to vaar ke mauqe hazaar baar mile
hamein difa ka mauqa na ek baar mila
गए जो कूचे में उस के तो इतना प्यार मिला
मगर ये क्या कि हर इक शख़्स बे-क़रार मिला
भुलाना चाहा था उस को मगर भुला न सके
वो एक शख़्स जो रस्ते में बार बार मिला
हक़ीक़तों को फ़सानों में जब से उलझाया
फ़रेब-ओ-मक्र-ओ-सियासत को ए'तिबार मिला
किसी ने कर दिया बर्बाद इस का ग़म भी नहीं
इसी बहाने ज़माने को राज़दार मिला
उन्हें तो वार के मौक़े हज़ार बार मिले
हमें दिफ़ा का मौक़ा न एक बार मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri
our suggestion based on Daood Kaashmiri
As you were reading Udasi Shayari Shayari