har haqeeqat hai wahi khwaab-e-pareshaan ki jo tha
jazba-e-dil hai wahi chaak-garebaan ki jo tha
mah-jabeenon ko mile jor ke andaaz naye
dil-figaaron ko wahi deeda-e-hairaan ki jo tha
haan shaheedaan-e-wafaa sar pe kafan kaj hi rahe
dekhna aaj bhi zalim hai pashemaan ki jo tha
na maseeha na hi mansoor na farhaad raha
ab kahaan raunq-o-hangaama-e-yaaraan ki jo tha
ik taraf unchi imaaraat hain zindaan zindaan
ik taraf ghar he mera dasht-o-bayaabaan ki jo tha
हर हक़ीक़त है वही ख़्वाब-ए-परेशाँ कि जो था
जज़्बा-ए-दिल है वही चाक-गरेबाँ कि जो था
मह-जबीनों को मिले जौर के अंदाज़ नए
दिल-फ़िगारों को वही दीदा-ए-हैराँ कि जो था
हाँ शहीदान-ए-वफ़ा सर पे कफ़न कज ही रहे
देखना आज भी ज़ालिम है पशेमाँ कि जो था
न मसीहा न ही मंसूर न फ़रहाद रहा
अब कहाँ रौनक़-ओ-हंगामा-ए-याराँ कि जो था
इक तरफ़ ऊँची इमारात हैं ज़िंदाँ ज़िंदाँ
इक तरफ़ घर हे मिरा दश्त-ओ-बयाबाँ कि जो था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri
our suggestion based on Daood Kaashmiri
As you were reading Sach Shayari Shayari