log gham se darte hain main khushi se darta hoon | लोग ग़म से डरते हैं मैं ख़ुशी से डरता हूँ

  - Daood Kaashmiri

log gham se darte hain main khushi se darta hoon
teergi se kya darna raushni se darta hoon

main nikal pada ghar se ab safar mein jo beete
aage chalte rahna hai waapsi se darta hoon

ye bhi jaanwar saare vo bhi jaanwar saare
jaane kaisi basti hai aadmi se darta hoon

rahzan-e-khuloos-e-jaan rahzan-e-masarrat hai
rehnumaai-e-ilm-o-aagahi se darta hoon

sar utha ke jeene ki lazzaton se waqif hoon
sar utha ke jeene ki be-hisi se darta hoon

लोग ग़म से डरते हैं मैं ख़ुशी से डरता हूँ
तीरगी से क्या डरना रौशनी से डरता हूँ

मैं निकल पड़ा घर से अब सफ़र में जो बीते
आगे चलते रहना है वापसी से डरता हूँ

ये भी जानवर सारे वो भी जानवर सारे
जाने कैसी बस्ती है आदमी से डरता हूँ

रहज़न-ए-ख़ुलूस-ए-जाँ रहज़न-ए-मसर्रत है
रहनुमाई-ए-इल्म-ओ-आगही से डरता हूँ

सर उठा के जीने की लज़्ज़तों से वाक़िफ़ हूँ
सर उठा के जीने की बे-हिसी से डरता हूँ

  - Daood Kaashmiri

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daood Kaashmiri

As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Daood Kaashmiri

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari