agar jahaan mein khuda ke siva kuchh aur nahin
to phir naseeb dua ke siva kuchh aur nahin
hamaare paas hamaara zameer hai logo
tumhaare paas ana ke siva kuchh aur nahin
kabhi wafa thi mohabbat mein aur khuloos bhi tha
hayaat aaj jafaa ke siva kuchh aur nahin
vo khud hi kahte hain aur khud hi sunte rahte hain
ki un ke paas sada ke siva kuchh aur nahin
vo zeb-tan kiye kamkhaab-o-resham-o-atlas
hamein naseeb rida ke siva kuchh aur nahin
अगर जहाँ में ख़ुदा के सिवा कुछ और नहीं
तो फिर नसीब दुआ के सिवा कुछ और नहीं
हमारे पास हमारा ज़मीर है लोगो
तुम्हारे पास अना के सिवा कुछ और नहीं
कभी वफ़ा थी मोहब्बत में और ख़ुलूस भी था
हयात आज जफ़ा के सिवा कुछ और नहीं
वो ख़ुद ही कहते हैं और ख़ुद ही सुनते रहते हैं
कि उन के पास सदा के सिवा कुछ और नहीं
वो ज़ेब-तन किए कमख़ाब-ओ-रेशम-ओ-अतलस
हमें नसीब रिदा के सिवा कुछ और नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daood Kaashmiri
our suggestion based on Daood Kaashmiri
As you were reading Dua Shayari Shayari