duniya ke masaail se har waqt ghira hona
mushkil to bahut hoga duniya ka khuda hona
ummeed ke daaman ko chhodaa bhi nahin jaata
lagta to hai naa-mumkin wa'de ka wafa hona
jitni bhi khataayein hain ya-rab hain jawaani ki
jab bas mein nahin hota achha ki bura hona
dasharath ki tarah duniya chhodi bhi nahin jaati
takleef to deta hai apnon se juda hona
bekar banata hai behaal banata hai
insaan ka apni hi nazaron se gira hona
ummeed hai un ko bhi shaayad mere aane ki
itna to bataana hai darwaaze ka vaa hona
hona to zaroori hai har roz ibadat ka
achha bhi nahin lagta har roz gila hona
kya un ko sikhaayega kya un ko banaayega
talwaaron ke saaye mein bacchon ka bada hona
yaaron ki mohabbat hai tera bhi karam ya-rab
parwaaz se insaan ko har shay ka mila hona
दुनिया के मसाइल से हर वक़्त घिरा होना
मुश्किल तो बहुत होगा दुनिया का ख़ुदा होना
उम्मीद के दामन को छोड़ा भी नहीं जाता
लगता तो है ना-मुम्किन वा'दे का वफ़ा होना
जितनी भी ख़ताएँ हैं या-रब हैं जवानी की
जब बस में नहीं होता अच्छा कि बुरा होना
दशरथ की तरह दुनिया छोड़ी भी नहीं जाती
तकलीफ़ तो देता है अपनों से जुदा होना
बेकार बनाता है बेहाल बनाता है
इंसान का अपनी ही नज़रों से गिरा होना
उम्मीद है उन को भी शायद मिरे आने की
इतना तो बताना है दरवाज़े का वा होना
होना तो ज़रूरी है हर रोज़ इबादत का
अच्छा भी नहीं लगता हर रोज़ गिला होना
क्या उन को सिखाएगा क्या उन को बनाएगा
तलवारों के साए में बच्चों का बड़ा होना
यारों की मोहब्बत है तेरा भी करम या-रब
'पर्वाज़' से इंसाँ को हर शय का मिला होना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Dayal Parwaz
our suggestion based on Darshan Dayal Parwaz
As you were reading Wafa Shayari Shayari