jaan ko khatra kabhi eimaan ko
koi samjhaaye dil-e-naadaan ko
kyun kare jannat ki koi aarzoo
zindagi pyaari hai har insaan ko
bhool jaao doston ki be-rukhi
yaad rakho gair ke ehsaan ko
ham kisi qaabil nahin is umr mein
ab koi khatra nahin eimaan ko
itni to parwaaz mein taufeeq hai
maat de saka hai ye shaitaan ko
जान को ख़तरा कभी ईमान को
कोई समझाए दिल-ए-नादान को
क्यों करे जन्नत की कोई आरज़ू
ज़िंदगी प्यारी है हर इंसान को
भूल जाओ दोस्तों की बे-रुख़ी
याद रक्खो ग़ैर के एहसान को
हम किसी क़ाबिल नहीं इस उम्र में
अब कोई ख़तरा नहीं ईमान को
इतनी तो 'पर्वाज़' में तौफ़ीक़ है
मात दे सकता है ये शैतान को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Dayal Parwaz
our suggestion based on Darshan Dayal Parwaz
As you were reading Yaad Shayari Shayari