gair se hi kyun gila-shikwa rahe
mushkilon mein apna kab apna rahe
roothne ke waqt ye rakho khayal
laut kar aane ka kuchh rasta rahe
chahe kuchh bhi ho taalluq arsh se
farsh se insaan ka rishta rahe
har kisi ke dil mein ho ye aarzoo
doston se qad mera ooncha rahe
jhoota wa'da karne ko samjho gunaah
chahe haalat kitni bhi khasta rahe
peeri mein karne lage hain hujjaten
umr bhar parwaaz be-parwa rahe
ग़ैर से ही क्यों गिला-शिकवा रहे
मुश्किलों में अपना कब अपना रहे
रूठने के वक़्त ये रक्खो ख़याल
लौट कर आने का कुछ रस्ता रहे
चाहे कुछ भी हो तअल्लुक़ अर्श से
फ़र्श से इंसान का रिश्ता रहे
हर किसी के दिल में हो ये आरज़ू
दोस्तों से क़द मिरा ऊँचा रहे
झूटा वा'दा करने को समझो गुनाह
चाहे हालत कितनी भी ख़स्ता रहे
पीरी में करने लगे हैं हुज्जतें
उम्र भर 'पर्वाज़' बे-परवा रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Darshan Dayal Parwaz
our suggestion based on Darshan Dayal Parwaz
As you were reading Crime Shayari Shayari