mujh saath sair-e-baagh koon ai nau-bahaar chal | मुझ साथ सैर-ए-बाग़ कूँ ऐ नौ-बहार चल

  - Daud Aurangabadi

mujh saath sair-e-baagh koon ai nau-bahaar chal
bulbul hai intizaar mein ai gul-izaar chal

karne koon qatl aashiq-e-jaan-baaz ke sanam
le tegh-e-naaz haath kamar rakh kataar chal

karne nazaara baagh ka nikla hai gul-badan
barja hai har chaman soon gar aave bahaar chal

us gul-badan soon zauq hum-aaghosh hai agar
ho chaak seena gul ke naman ban ke haar chal

us shamma-roo ke vasl ka gar tujh koon shauq hai
mehfil mein aashiqan ki ho parwaana-waar chal

aakhir aseer-e-umr ka hai is jahaan soon kooch
is vaaste hai dam ki jars mein pukaar chal

gar azm hai buzurgi is aalam mein hue husool
aamaal-naama jag mein apas ka sanwaar chal

gar yaar ke hai vasl ki nemat ki ishtihā
har shay soon rah oo paas wahan lag nahaar chal

awwal khudi ke ghar koon ai daaud tod sat
may-khaana-e-visaal mein tab sidh-bisaar chal

मुझ साथ सैर-ए-बाग़ कूँ ऐ नौ-बहार चल
बुलबुल है इंतिज़ार में ऐ गुल-इज़ार चल

करने कूँ क़त्ल आशिक़-ए-जाँ-बाज़ के सनम
ले तेग़-ए-नाज़ हाथ कमर रख कटार चल

करने नज़ारा बाग़ का निकला है गुल-बदन
बरजा है हर चमन सूँ गर आवे बहार चल

उस गुल-बदन सूँ ज़ौक़ हम-आग़ोश है अगर
हो चाक सीना गुल के नमन बन के हार चल

उस शम्अ-रू के वस्ल का गर तुझ कूँ शौक़ है
महफ़िल में आशिक़ाँ की हो परवाना-वार चल

आख़िर असीर-ए-उम्र का है इस जहाँ सूँ कूच
इस वास्ते है दम की जरस में पुकार चल

गर अज़्म है बुज़ुर्गी इस आलम में हुए हुसूल
आमाल-नामा जग में अपस का सँवार चल

गर यार के है वस्ल की नेमत की इश्तिहा
हर शय सूँ रह ऊ पास वहाँ लग नहार चल

अव्वल ख़ुदी के घर कूँ ऐ 'दाऊद' तोड़ सट
मय-ख़ाना-ए-विसाल में तब सिध-बिसार चल

  - Daud Aurangabadi

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Aurangabadi

As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari