seena saafi soon misl-e-darpan kar | सीना साफ़ी सूँ मिस्ल-ए-दर्पन कर

  - Daud Aurangabadi

seena saafi soon misl-e-darpan kar
sham-e-faanus dil ki raushan kar

yaad kar ke khayal gul-roo ka
dasht-e-dil mein bahaar-e-gulshan kar

gar nahin subha haath mein har waqt
daana-e-dam soon piw ki simran kar

garche haael hai parda-e-ghaflat
deeda-e-dil koon khol rozan kar

aib-poshi koon khalk ki daaud
chashm seti palak koon sozan kar

सीना साफ़ी सूँ मिस्ल-ए-दर्पन कर
शम्-ए-फ़ानूस दिल की रौशन कर

याद कर के ख़याल गुल-रू का
दश्त-ए-दिल में बहार-ए-गुलशन कर

गर नहीं सुब्हा हाथ में हर वक़्त
दाना-ए-दम सूँ पिव की सिमरन कर

गरचे हाएल है पर्दा-ए-ग़फ़लत
दीदा-ए-दिल कूँ खोल रौज़न कर

ऐब-पोशी कूँ ख़ल्क़ की 'दाऊद'
चश्म सेती पलक कूँ सोज़न कर

  - Daud Aurangabadi

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Aurangabadi

As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari