apne aap ko yun samjhaate rahte hain
ummeedon ke par sahlaate rahte hai
apne ghar mein ghar jaisi ik baat to hai
dukh-sukh dono aate jaate rahte hain
tasveeron ka shauq kahaan tak le aaya
parchhaaien pe aks banaate rahte hain
apna zabt na toote is ke khaatir ham
deewaron ko dard sunaate rahte hain
अपने आप को यूँ समझाते रहते हैं
उम्मीदों के पर सहलाते रहते है
अपने घर में घर जैसी इक बात तो है
दुख-सुख दोनो आते जाते रहते हैं
तस्वीरों का शौक़ कहाँ तक ले आया
परछाईं पे अक्स बनाते रहते हैं
अपना ज़ब्त ना टूटे इस के ख़ातिर हम
दीवारों को दर्द सुनाते रहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Jain Deep
our suggestion based on Deepak Jain Deep
As you were reading Dard Shayari Shayari