tere jalvo ne kaisi shart rakh di
ki khushboo dekhne ki shart rakh di
parindon ka basera aur chhato par
to kya pedon ne koi shart rakh di
mere maalik ne aankhen to ata keen
magar in mein nami ki shart rakh di
parindon ki udaanen cheen leen aur
hadon ko naapne ki shart rakh di
sabhi the ektaa ke haq mein lekin
sabhi ne apni apni shart rakh di
तेरे जल्वों ने कैसी शर्त रख दी
की ख़ुश्बू देखने की शर्त रख दी
परिंदों का बसेरा और छतों पर
तो क्या पेड़ों ने कोई शर्त रख दी
मिरे मालिक ने आँखें तो अता कीं
मगर इन में नमी की शर्त रख दी
परिंदों की उड़ानें छीन लीं और
हदों को नापने की शर्त रख दी
सभी थे एकता के हक़ में लेकिन
सभी ने अपनी अपनी शर्त रख दी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Jain Deep
our suggestion based on Deepak Jain Deep
As you were reading Ijazat Shayari Shayari