adhoora hi rahe har raasta to
na pahunchen manzilon tak silsila to
jise chahein wahi kho jaaye ham se
hamaare saath phir aisa hua to
jahaan aawaargi bikhri padi ho
main us raaste se manzil pa gaya to
tujhe paane mein khud ko bhool baitha
tujhe pa kar bhi main tanhaa raha to
yaqeen kar ke tire peeche chale hain
nazar aaye na phir bhi raasta to
अधूरा ही रहे हर रास्ता तो
ना पहुँचे मंज़िलों तक सिलसिला तो
जिसे चाहें वही खो जाए हम से
हमारे साथ फिर ऐसा हुआ तो
जहाँ आवारगी बिखरी पड़ी हो
मैं उस रस्ते से मंज़िल पा गया तो
तुझे पाने में ख़ुद को भूल बैठा
तुझे पा कर भी मैं तन्हा रहा तो
यक़ीं कर के तिरे पीछे चले हैं
नज़र आए ना फिर भी रास्ता तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Jain Deep
our suggestion based on Deepak Jain Deep
As you were reading Raasta Shayari Shayari