main ki apne hi aas-paas nahin | मैं कि अपने ही आस-पास नहीं - Dheerendra Singh Faiyaz

main ki apne hi aas-paas nahin
so bhi ab mujh ko teri aas nahin

zindagi ke bane nahin imkaan
maut ka bhi koi qayaas nahin

qahar par qahar mujh pe toote hain
kya sitam hai ki main udaas nahin

chahta hoon ki tujh ko yaad rakhoon
par ye chaahat bhi utni khaas nahin

rah ke duniya mein duniya waalon se
kehta firta hoon duniya raas nahin

meri khwaahish hai dariya paas aaye
aur main kah doon ki mujh ko pyaas nahin

मैं कि अपने ही आस-पास नहीं
सो भी अब मुझ को तेरी आस नहीं

ज़िंदगी के बने नहीं इम्कान
मौत का भी कोई क़यास नहीं

क़हर पर क़हर मुझ पे टूटे हैं
क्या सितम है कि मैं उदास नहीं

चाहता हूँ कि तुझ को याद रखूँ
पर ये चाहत भी उतनी ख़ास नहीं

रह के दुनिया में दुनिया वालों से
कहता फिरता हूँ दुनिया रास नहीं

मेरी ख़्वाहिश है दरिया पास आए
और मैं कह दूँ कि मुझ को प्यास नहीं

- Dheerendra Singh Faiyaz
0 Likes

Death Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dheerendra Singh Faiyaz

As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz

Similar Moods

As you were reading Death Shayari Shayari