daavaton mein shaayri ab ho gai hai rasm-e-aam
yoon bhi shaair se liya jaata hai akshar intiqaam
pehle khaana us ko khilvaate hain bhooke ki tarah
phir use karte hain istimaal meethe ki tarah
suniye ik sahab ka qissa jo bade fankaar hain
haan magar thode se daavatkhor o duniyadaar hain
ek daawat mein unhen gaana bhi tha khaane ke baad
vo tire aane se pehle ye tire jaane ke baad
shaayar-e-mausoof the is field mein bilkul naye
is liye vo kuchh zaroorat se ziyaada kha gaye
qorma istoo pasanda kofta shaami kebab
jaane kya-kya kha gaya ye shaayir-e-meida-kharab
kuchh na poocho is amal se un ko kya haasil hua
un ke maazi se juda khud un ka mustaqbil hua
sher padhne ke liye mausoof jab masnad par aaye
zor to poora laga daala magar kuchh padh na paaye
chahte ye the main kuchh haal-e-dil-e-roodaad-e-gham
munh se sirf itna hi nikla mamma-mamma-mamma-mam
dekh kar un ki ye haalat ik adeeb-e-zinda-dil
un se ye kehne laga ai bewaqoof-e-mustaqil
aa ke bazm-e-sher mein shart-e-wafa poori to kar
jitna khaana kha gaya hai utni mazdoori to kar
baad-e-sher-o-shaayari khaane ka rakhiye intizaam
ye galat dastoor hai pehle taam aur phir kalaam
ye na hoga to adab zer-e-zameen gad jaayega
khush-guloo shaair to khaana kha ke thas pad jaayega
दावतों में शाइरी अब हो गई है रस्म-ए-आम
यूं भी शाइर से लिया जाता है अक्सर इंतिक़ाम
पहले खाना उस को खिलवाते हैं भूके की तरह
फिर उसे करते हैं इस्तिमाल मीठे की तरह
सुनिए इक साहब का क़िस्सा जो बड़े फ़नकार हैं
हां मगर थोड़े से दावतख़ोर ओ दुनियादार हैं
एक दावत में उन्हें गाना भी था खाने के बाद
''वो तिरे आने से पहले ये तिरे जाने के बाद''
शायर-ए-मौसूफ़ थे इस फ़ील्ड में बिल्कुल नए
इस लिए वो कुछ ज़रूरत से ज़ियादा खा गए
क़ोरमा इस्टू पसंदा, कोफ़ता, शामी कबाब
जाने क्या-क्या खा गया ये शाएर-ए-मेअदा-ख़राब
कुछ न पूछो इस अमल से उन को क्या हासिल हुआ
उन के माज़ी से जुदा ख़ुद उन का मुस्तक़बिल हुआ
शेर पढ़ने के लिए मौसूफ़ जब मसनद पर आए
ज़ोर तो पूरा लगा डाला मगर कुछ पढ़ न पाए
चाहते ये थे मैं कुछ हाल-ए-दिल-ए-रूदाद-ए-ग़म
मुंह से सिर्फ़ इतना ही निकला मम्मा-मम्मा-मम्मा-मम
देख कर उन की ये हालत इक अदीब-ए-ज़िंदा-दिल
उन से ये कहने लगा ऐ बेवक़ूफ़-ए-मुस्तक़िल
आ के बज़्म-ए-शेर में शर्त-ए-वफ़ा पूरी तो कर
जितना खाना खा गया है उतनी मज़दूरी तो कर
बाद-ए-शेर-ओ-शाएरी खाने का रखिए इंतिज़ाम
ये ग़लत दस्तूर है पहले तआम और फिर कलाम
ये न होगा तो अदब ज़ेर-ए-ज़मीं गड़ जाएगा
ख़ुश-गुलू शाइर तो खाना खा के ठस पड़ जाएगा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Dilawar Figar
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari