laakh chehre the magar tujh sa kahi par bhi na tha | लाख चेहरे थे मगर तुझ सा कहीं पर भी न था - Dinakshi Sahar

laakh chehre the magar tujh sa kahi par bhi na tha
tha na behtar tujh ko kho kar haal bad-tar bhi na tha

itna kar deta ki tu koi mujhe ilzaam de
di saza par jurm koi to mere sar bhi na tha

ladhkadaaye pair phir kyun kyun nazar kho si gai
sirf teri yaad thi haathon mein saaghar bhi na tha

ho gaya jitna ki tanhaa doston ki bheed mein
dasht-o-veeraan mein akela khud ko pa kar bhi na tha

sach hai yun to gham bahut the qaid kar paaye nahin
aasmaan sar pe khula tha dil ye be-par bhi na tha

thi na koi aisi manzil jo mujhe awaaz de
mujh ko rakhe baandh kar aisa mera ghar bhi na tha

लाख चेहरे थे मगर तुझ सा कहीं पर भी न था
था न बेहतर तुझ को खो कर हाल बद-तर भी न था

इतना कर देता कि तू कोई मुझे इल्ज़ाम दे
दी सज़ा पर जुर्म कोई तो मिरे सर भी न था

लड़खड़ाए पैर फिर क्यूँ क्यूँ नज़र खो सी गई
सिर्फ़ तेरी याद थी हाथों में साग़र भी न था

हो गया जितना कि तन्हा दोस्तों की भीड़ में
दश्त-ओ-वीराँ में अकेला ख़ुद को पा कर भी न था

सच है यूँ तो ग़म बहुत थे क़ैद कर पाए नहीं
आसमाँ सर पे खुला था दिल ये बे-पर भी न था

थी न कोई ऐसी मंज़िल जो मुझे आवाज़ दे
मुझ को रक्खे बाँध कर ऐसा मिरा घर भी न था

- Dinakshi Sahar
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinakshi Sahar

As you were reading Shayari by Dinakshi Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Dinakshi Sahar

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari