dil ye khaamosh tha hum zabaan mil gaye | दिल ये ख़ामोश था हम ज़बाँ मिल गए - Dinakshi Sahar

dil ye khaamosh tha hum zabaan mil gaye
sab kahaan se chale the kahaan mil gaye

jo itaa'at-pazeeri hui zaabta
phool sehra ke bhi darmiyaan mil gaye

naqs ghairoon ke jin ki mazammat thi ki
vo to mere hi andar nihaan mil gaye

sar jhukaaya hi tha inkisaari mein jo
mujh ko qadmon ke tere nishaan mil gaye

ik bashar na mila jo chale saath mein
phir jo milne lage kaarwaan mil gaye

pyaas aisi ki pyaasi ki pyaasi rahi
is zameen ko bahut aasmaan mil gaye

sab ayaan ho gaya jo kaha bhi na tha
mujh ko aise bhi kuch raaz-daan mil gaye

roo-b-roo jab vo bichhde to ghamgeen the
khwaab mein jo mile shaadmaan mil gaye

aatish-e-hijr mein dil sulagta raha
rukh pe kitne hi dariya ravaan mil gaye

दिल ये ख़ामोश था हम ज़बाँ मिल गए
सब कहाँ से चले थे कहाँ मिल गए

जो इताअ'त-पज़ीरी हुई ज़ाबता
फूल सहरा के भी दरमियाँ मिल गए

नक़्स ग़ैरों के जिन की मज़म्मत थी की
वो तो मेरे ही अंदर निहाँ मिल गए

सर झुकाया ही था इंकिसारी में जो
मुझ को क़दमों के तेरे निशाँ मिल गए

इक बशर न मिला जो चले साथ में
फिर जो मिलने लगे कारवाँ मिल गए

प्यास ऐसी कि प्यासी की प्यासी रही
इस ज़मीं को बहुत आसमाँ मिल गए

सब अयाँ हो गया जो कहा भी न था
मुझ को ऐसे भी कुछ राज़-दाँ मिल गए

रू-ब-रू जब वो बिछड़े तो ग़मगीन थे
ख़्वाब में जो मिले शादमाँ मिल गए

आतिश-ए-हिज्र में दिल सुलगता रहा
रुख़ पे कितने ही दरिया रवाँ मिल गए

- Dinakshi Sahar
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinakshi Sahar

As you were reading Shayari by Dinakshi Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Dinakshi Sahar

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari