zinda rahne ka wasila to banaya jaaye | ज़िंदा रहने का वसीला तो बनाया जाए - Dinakshi Sahar

zinda rahne ka wasila to banaya jaaye
gham koi dhundh ke seene se lagaaya jaaye

phir masarrat se chahakne si lagi hain aankhen
phir chalo un ko naya khwaab dikhaaya jaaye

ek muddat hui aansu nahin nikla koi
kisi armaan ka phir khoon bahaaya jaaye

zindagi kya hai tadap hi na agar ho koi
kuch sitam kar ke yun hi dil ko sataaya jaaye

be-sukooni na aziyyat hi hui arse se
ik dafa phir usi dilbar se mil aaya jaaye

ज़िंदा रहने का वसीला तो बनाया जाए
ग़म कोई ढूँड के सीने से लगाया जाए

फिर मसर्रत से चहकने सी लगी हैं आँखें
फिर चलो उन को नया ख़्वाब दिखाया जाए

एक मुद्दत हुई आँसू नहीं निकला कोई
किसी अरमान का फिर ख़ून बहाया जाए

ज़िंदगी क्या है तड़प ही न अगर हो कोई
कुछ सितम कर के यूँ ही दिल को सताया जाए

बे-सुकूनी न अज़िय्यत ही हुई अर्से से
इक दफ़ा फिर उसी दिलबर से मिल आया जाए

- Dinakshi Sahar
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinakshi Sahar

As you were reading Shayari by Dinakshi Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Dinakshi Sahar

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari