naqaab chehre pe baatein luaab-daar kare
vo rehnuma hai siyaasat ka kaarobaar kare
ye sirf khwaabon kitaabon ki baat lagti hai
ki ik gareeb ki imdaad maal-daar kare
naye zamaane ka rehzan naya saleeqa hai
vo lautaa hai magar pehle hoshiyaar kare
charaagh le ke bhi dhoondhenge to milegi nahin
jahaan mein ek bhi hasti jo maa sa pyaar kare
hawa ke zor se hi kashtiyaan nahin chaltiin
ki nakhuda bhi khuda se zara guhaar kare
vo gul-badan hai mukammal bahaar se badh kar
bas us ka zikr hi mausam ko khush-gawaar kare
na jaane kaun si basti ka tu hai baashinda
tujhe dinesh koi gham na be-qaraar kare
नक़ाब चेहरे पे बातें लुआब-दार करे
वो रहनुमा है सियासत का कारोबार करे
ये सिर्फ़ ख़्वाबों किताबों की बात लगती है
कि इक ग़रीब की इमदाद माल-दार करे
नए ज़माने का रहज़न नया सलीक़ा है
वो लौटता है मगर पहले होशियार करे
चराग़ ले के भी ढूँढेंगे तो मिलेगी नहीं
जहाँ में एक भी हस्ती जो माँ सा प्यार करे
हवा के ज़ोर से ही कश्तियाँ नहीं चलतीं
कि नाख़ुदा भी ख़ुदा से ज़रा गुहार करे
वो गुल-बदन है मुकम्मल बहार से बढ़ कर
बस उस का ज़िक्र ही मौसम को ख़ुश-गवार करे
न जाने कौन सी बस्ती का तू है बाशिंदा
तुझे 'दिनेश' कोई ग़म न बे-क़रार करे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh Kumar
our suggestion based on Dinesh Kumar
As you were reading Baaten Shayari Shayari