apni manzil ki jo hasrat karna
ghar se chalne ki bhi himmat karna
koi tujh ko jo amaanat saumpe
jaan de kar bhi hifazat karna
kehna aasaan hai karna mushkil
dushmanon se bhi mohabbat karna
aaj bachpan mein hai vo baat kahaan
waqt be-waqt sharaarat karna
tere bheetar ka khuda jaag uthe
itni shiddat se ibadat karna
jab use dost kaha hai tum ne
us ke dukh dard mein shirkat karna
farz aulaad ka hota hai dinesh
apne maa baap ki khidmat karna
अपनी मंज़िल की जो हसरत करना
घर से चलने की भी हिम्मत करना
कोई तुझ को जो अमानत सौंपे
जान दे कर भी हिफ़ाज़त करना
कहना आसान है करना मुश्किल
दुश्मनों से भी मोहब्बत करना
आज बचपन में है वो बात कहाँ
वक़्त बे-वक़्त शरारत करना
तेरे भीतर का ख़ुदा जाग उठे
इतनी शिद्दत से इबादत करना
जब उसे दोस्त कहा है तुम ने
उस के दुख दर्द में शिरकत करना
फ़र्ज़ औलाद का होता है 'दिनेश'
अपने माँ बाप की ख़िदमत करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh Kumar
our suggestion based on Dinesh Kumar
As you were reading Khuda Shayari Shayari