bachpan tha vo hamaara ya jhonka bahaar ka | बचपन था वो हमारा या झोंका बहार का

  - Dinesh Kumar

bachpan tha vo hamaara ya jhonka bahaar ka
laut aaye kaash phir vo zamaana bahaar ka

khidki mein ik gulaab mahakta tha saamne
barson se band hai vo dareecha bahaar ka

kaliyon ka husn gul ki mahak titliyon ka raqs
hai yaad mujh ko aaj bhi chehra bahaar ka

arsa guzar gaya p lage kal ki baat ho
us baagh-e-husn mein mera darja bahaar ka

daur-e-khizaan mein dil ke bahlne ka hai sabab
aankhon mein meri qaid nazaara bahaar ka

kaliyaan ko baagbaan hi maslata hai jab kabhi
rota hai zaar zaar kaleja bahaar ka

marzi pe gulsitaan ki bhala kab hai munhasir
aana bahaar ka ya na aana bahaar ka

बचपन था वो हमारा या झोंका बहार का
लौट आए काश फिर वो ज़माना बहार का

खिड़की में इक गुलाब महकता था सामने
बरसों से बंद है वो दरीचा बहार का

कलियों का हुस्न गुल की महक तितलियों का रक़्स
है याद मुझ को आज भी चेहरा बहार का

अर्सा गुज़र गया प लगे कल की बात हो
उस बाग़-ए-हुस्न में मिरा दर्जा बहार का

दौर-ए-ख़िज़ाँ में दिल के बहलने का है सबब
आँखों में मेरी क़ैद नज़ारा बहार का

कलियाँ को बाग़बाँ ही मसलता है जब कभी
रोता है ज़ार ज़ार कलेजा बहार का

मर्ज़ी पे गुल्सिताँ की भला कब है मुनहसिर
आना बहार का या न आना बहार का

  - Dinesh Kumar

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari