main apne kaam agar waqt par nahin karta | मैं अपने काम अगर वक़्त पर नहीं करता - Dinesh Kumar

main apne kaam agar waqt par nahin karta
to kaamyaabi ka parvat bhi sar nahin karta

haseen khwaab agar dil mein ghar nahin karta
taveel raat se main dar-guzar nahin karta

sikha diya hai mujhe gham ne zindagi ka hunar
kisi bhi haal mein ab aankh tar nahin karta

gire zameen pe dastaar sar ke jhukne se
main hukmraan ko salaam is qadar nahin karta

main apne azm ki patwaar saath rakhta hoon
mere safeene pe toofaan asar nahin karta

ghuroor saath mein chalta hai har ghadi us ke
vo ab ameer hai tanhaa safar nahin karta

diya umeed ka tu har ghadi jalaae rakh
har ek raat ki kya rab sehar nahin karta

ajab jawaab tha un ka dinesh sochenge
suna tha ishq koi soch kar nahin karta

मैं अपने काम अगर वक़्त पर नहीं करता
तो कामयाबी का पर्वत भी सर नहीं करता

हसीन ख़्वाब अगर दिल में घर नहीं करता
तवील रात से मैं दर-गुज़र नहीं करता

सिखा दिया है मुझे ग़म ने ज़िंदगी का हुनर
किसी भी हाल में अब आँख तर नहीं करता

गिरे ज़मीन पे दस्तार सर के झुकने से
मैं हुक्मराँ को सलाम इस क़दर नहीं करता

मैं अपने अज़्म की पतवार साथ रखता हूँ
मिरे सफ़ीने पे तूफ़ाँ असर नहीं करता

ग़ुरूर साथ में चलता है हर घड़ी उस के
वो अब अमीर है तन्हा सफ़र नहीं करता

दिया उमीद का तू हर घड़ी जलाए रख
हर एक रात की क्या रब सहर नहीं करता

अजब जवाब था उन का 'दिनेश' सोचेंगे
सुना था इश्क़ कोई सोच कर नहीं करता

- Dinesh Kumar
0 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari