rafta rafta tarjumaani dard ki
shaay'ri hai qadrdaani dard ki
zakhm-e-dil ka martaba shahon sa hai
aur dil hai raajdhaani dard ki
ham se poocho tum maza takleef ka
ham ne ki hai mezbaani dard ki
muskuraahat ba-sabab honthon pe hai
khush-numa rukh hai nishaani dard ki
zindagi mein sab bhale ghamgeen hain
hai alag sab ki kahaani dard ki
ghamgusaaron se kinaara kar liya
dil ne aakhir baat maani dard ki
mar gaye hote dinesh us ke baghair
jee rahe hain meherbaani dard ki
रफ़्ता रफ़्ता तर्जुमानी दर्द की
शाइ'री है क़द्रदानी दर्द की
ज़ख़्म-ए-दिल का मर्तबा शाहों सा है
और दिल है राजधानी दर्द की
हम से पूछो तुम मज़ा तकलीफ़ का
हम ने की है मेज़बानी दर्द की
मुस्कुराहट बा-सबब होंठों पे है
ख़ुश-नुमा रुख़ है निशानी दर्द की
ज़िंदगी में सब भले ग़मगीन हैं
है अलग सब की कहानी दर्द की
ग़मगुसारों से किनारा कर लिया
दिल ने आख़िर बात मानी दर्द की
मर गए होते 'दिनेश' उस के बग़ैर
जी रहे हैं मेहरबानी दर्द की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh Kumar
our suggestion based on Dinesh Kumar
As you were reading Aanch Shayari Shayari