kitaab-e-zeest se kuchh iqtibaas tasveerein
khushi ke lamhon mein detiin mithaas tasveerein
akeley-pan bhi hamaara ye door karti hai
ki rakh ke dekho zara apne paas tasveerein
kuchh aise rang bharo jo samay se utre nahin
ye moo-qalam se karein iltimaas tasveerein
khuda ke paas gaye jab se waaldain mere
meri hayaat ki hai bas asaas tasveerein
sulagti ret p saagar ka aks bhi dikhta
lagati dekhiye kya kya qayaas tasveerein
guzishta waqt mein rahna dinesh chhod bhi de
na baar baar tu ab dekh udaas tasveerein
किताब-ए-ज़ीस्त से कुछ इक़्तिबास तस्वीरें
ख़ुशी के लम्हों में देतीं मिठास तस्वीरें
अकेले-पन भी हमारा ये दूर करती है
कि रख के देखो ज़रा अपने पास तस्वीरें
कुछ ऐसे रंग भरो जो समय से उतरे नहीं
ये मू-क़लम से करें इल्तिमास तस्वीरें
ख़ुदा के पास गए जब से वालदैन मिरे
मिरी हयात की है बस असास तस्वीरें
सुलगती रेत प सागर का अक्स भी दिखता
लगाती देखिए क्या क्या क़यास तस्वीरें
गुज़िश्ता वक़्त में रहना 'दिनेश' छोड़ भी दे
न बार बार तू अब देख उदास तस्वीरें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh Kumar
our suggestion based on Dinesh Kumar
As you were reading Udas Shayari Shayari