roz ke intizaam se pehle
main ne kal pee li shaam se pehle
ghoont bharne pe hosh aaya tha
main nashe mein tha jaam se pehle
kya karoon ab zabaan se meri
ram nikalta hai raam se pehle
dil mera ab sharaab maange hai
kaam ke baad kaam se pehle
kuchh pilaane ka bandobast karo
tum mere ehtiraam se pehle
chashm-e-hasrat ko padh ke dekho tum
kya ye maange salaam se pehle
zindagi ko talaashta hoon main
maut ke ehtimaam se pehle
रोज़ के इंतिज़ाम से पहले
मैं ने कल पी ली शाम से पहले
घूँट भरने पे होश आया था
मैं नशे में था जाम से पहले
क्या करूँ अब ज़बान से मेरी
रम निकलता है राम से पहले
दिल मिरा अब शराब माँगे है
काम के बाद काम से पहले
कुछ पिलाने का बंदोबस्त करो
तुम मिरे एहतिराम से पहले
चश्म-ए-हसरत को पढ़ के देखो तुम
क्या ये माँगे सलाम से पहले
ज़िंदगी को तलाशता हूँ मैं
मौत के एहतिमाम से पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh Kumar
our suggestion based on Dinesh Kumar
As you were reading Kitaaben Shayari Shayari