teer-e-abroo jab kamaan tak aa gaye | तीर-ए-अबरू जब कमाँ तक आ गए - Dinesh Kumar

teer-e-abroo jab kamaan tak aa gaye
un ki zad mein jism-o-jaan tak aa gaye

daagh seerat par lage the aur hum
basti-e-soorat-garaan tak aa gaye

rafta rafta kam hua zabt-e-alam
dard-e-jaan meri zabaan tak aa gaye

hum ko bhi ik gul-badan ki chaah thi
hum bhi koi gulsitaan tak aa gaye

manzil-e-maqsood bhi dikhne lagi
hum jo meer-e-kaarwaan tak aa gaye

yaad aaya jab humein bachpan bahut
hum khilauno ki dukaaan tak aa gaye

qaatilon ke paas thi daulat apar
un ke haq mein hukmraan tak aa gaye

mausam-e-gul sirf yaadon mein hai ab
umr guzri hum khizaan tak aa gaye

तीर-ए-अबरू जब कमाँ तक आ गए
उन की ज़द में जिस्म-ओ-जाँ तक आ गए

दाग़ सीरत पर लगे थे और हम
बस्ती-ए-सूरत-गराँ तक आ गए

रफ़्ता रफ़्ता कम हुआ ज़ब्त-ए-अलम
दर्द-ए-जाँ मेरी ज़बाँ तक आ गए

हम को भी इक गुल-बदन की चाह थी
हम भी कोई गुल्सिताँ तक आ गए

मंज़िल-ए-मक़्सूद भी दिखने लगी
हम जो मीर-ए-कारवाँ तक आ गए

याद आया जब हमें बचपन बहुत
हम खिलौनों की दुकाँ तक आ गए

क़ातिलों के पास थी दौलत अपार
उन के हक़ में हुक्मराँ तक आ गए

मौसम-ए-गुल सिर्फ़ यादों में है अब
उम्र गुज़री हम ख़िज़ाँ तक आ गए

- Dinesh Kumar
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari