hunar nahin jo hawaon ke par katarne ka
rahega khauf hamesha hi bujh ke marne ka
ham aainon ke mukhaatab na ho sakenge kabhi
hamein to khatra hai apna naqaab utarne ka
wafa ki raah pe marna bhi tha mujhe manzoor
koi to hoga sabab mere ab mukarne ka
daraar badhti hai badh jaaye bad-gumaani ki
iraada mera bhi un se na baat karne ka
beheliye ki kahaani se hi dare taair
raha na hausla un mein udaan bharne ka
na us ne dil se mujhe rokne ki koshish ki
na mere paas samay tha wahan thehrne ka
safed hone lagin hain hamaari bhi qalamein
nishaan padne laga waqt ke guzarne ka
falak se raah-numaai dinesh ne ki thi
sawaal uthata kahaan zulmato_n se darne ka
हुनर नहीं जो हवाओं के पर कतरने का
रहेगा ख़ौफ़ हमेशा ही बुझ के मरने का
हम आइनों के मुख़ातब न हो सकेंगे कभी
हमें तो ख़तरा है अपना नक़ाब उतरने का
वफ़ा की राह पे मरना भी था मुझे मंज़ूर
कोई तो होगा सबब मेरे अब मुकरने का
दराड़ बढ़ती है बढ़ जाए बद-गुमानी की
इरादा मेरा भी उन से न बात करने का
बहेलिए की कहानी से ही डरे ताइर
रहा न हौसला उन में उड़ान भरने का
न उस ने दिल से मुझे रोकने की कोशिश की
न मेरे पास समय था वहाँ ठहरने का
सफ़ेद होने लगीं हैं हमारी भी क़लमें
निशान पड़ने लगा वक़्त के गुज़रने का
फ़लक से राह-नुमाई 'दिनेश' ने की थी
सवाल उठता कहाँ ज़ुल्मतों से डरने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dinesh Kumar
our suggestion based on Dinesh Kumar
As you were reading Parinda Shayari Shayari