kya kisi ki talab nahin hoti | क्या किसी की तलब नहीं होती

  - Dinesh Thakur

kya kisi ki talab nahin hoti
shaayri be-sabab nahin hoti

jaane kis dhun mein bhaage jaate hain
justuju jee mein kab nahin hoti

ba-adab dushmani ko kya royen
dosti ba-adab nahin hoti

chaand us waqt bhi to hota hai
jab kisi ghar mein shab nahin hoti

ham ne duniya mein kya nahin dekha
hashr ki fikr ab nahin hoti

may-kade mein bhi kuchh na kuchh to hai
bheed yun hi gazab nahin hoti

kaun saccha hai kaun jhoota hai
ye jirh ham se ab nahin hoti

क्या किसी की तलब नहीं होती
शाइरी बे-सबब नहीं होती

जाने किस धुन में भागे जाते हैं
जुस्तुजू जी में कब नहीं होती

बा-अदब दुश्मनी को क्या रोएँ
दोस्ती बा-अदब नहीं होती

चाँद उस वक़्त भी तो होता है
जब किसी घर में शब नहीं होती

हम ने दुनिया में क्या नहीं देखा
हश्र की फ़िक्र अब नहीं होती

मय-कदे में भी कुछ न कुछ तो है
भीड़ यूँ ही ग़ज़ब नहीं होती

कौन सच्चा है कौन झूटा है
ये जिरह हम से अब नहीं होती

  - Dinesh Thakur

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Thakur

As you were reading Shayari by Dinesh Thakur

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Thakur

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari