gham hamaara gulaab ho jaaye | ग़म हमारा गुलाब हो जाए - Dinesh Thakur

gham hamaara gulaab ho jaaye
zindagi la-jawaab ho jaaye

yaad ne harf harf ghera hai
gar likhoon to kitaab ho jaaye

dushmanon ki taraf bhi jaayenge
doston se hisaab ho jaaye

imtihaan le na be-qaraari ka
mere khat ka jawaab ho jaaye

aap naahak khuda se darte hain
shaikh sahab sharaab ho jaaye

tere kooche mein aa ke lagta hai
jaise muflis nawaab ho jaaye

khud-parasti ana hi kaafi hai
rukh zara be-naqaab ho jaaye

main ne dekha ki tu hai pahluu mein
ab mujassam ye khwaab ho jaaye

ग़म हमारा गुलाब हो जाए
ज़िंदगी ला-जवाब हो जाए

याद ने हर्फ़ हर्फ़ घेरा है
गर लिखूँ तो किताब हो जाए

दुश्मनों की तरफ़ भी जाएँगे
दोस्तों से हिसाब हो जाए

इम्तिहाँ ले न बे-क़रारी का
मेरे ख़त का जवाब हो जाए

आप नाहक़ ख़ुदा से डरते हैं
शैख़ साहब शराब हो जाए

तेरे कूचे में आ के लगता है
जैसे मुफ़्लिस नवाब हो जाए

ख़ुद-परस्ती अना ही काफ़ी है
रुख़ ज़रा बे-नक़ाब हो जाए

मैं ने देखा कि तू है पहलू में
अब मुजस्सम ये ख़्वाब हो जाए

- Dinesh Thakur
0 Likes

Sharaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Thakur

As you were reading Shayari by Dinesh Thakur

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Thakur

Similar Moods

As you were reading Sharaab Shayari Shayari