zindagi chamke meri mehr-e-darkhshaan ki tarah
tum agar saath do mera shab-e-hijraan ki tarah
phir main khud aap se ta'beer-e-mohabbat poochoon
aap aa jaayen kisi khwaab-e-pareshaan ki tarah
laakh qurbaaniyaan ik zaat ki khaatir se hui
koi patthar bhi na pooja gaya insaan ki tarah
aur kya pesh karoon haasil-e-zabt-e-gham-e-ishq
chashm-e-giryaan ki tarah chehra-e-khandaan ki tarah
haath aa jaaye agar gosha-e-daamaan-e-karam
wusa'aten doon main use aalam-e-imkaan ki tarah
aur kya laaun main takmeel-e-bahaaraan ka suboot
apne daaman ki tarah apne garebaan ki tarah
aandhiyaan aati hain gul karne ko ehsaas bahut
jhilmilata hoon charaagh-e-tah-e-daamaan ki tarah
ज़िंदगी चमके मिरी मेहर-ए-दरख़्शाँ की तरह
तुम अगर साथ दो मेरा शब-ए-हिज्राँ की तरह
फिर मैं ख़ुद आप से ता'बीर-ए-मोहब्बत पूछूँ
आप आ जाएँ किसी ख़्वाब-ए-परेशाँ की तरह
लाख क़ुर्बानियाँ इक ज़ात की ख़ातिर से हुईं
कोई पत्थर भी न पूजा गया इंसाँ की तरह
और क्या पेश करूँ हासिल-ए-ज़ब्त-ए-ग़म-ए-इश्क़
चश्म-ए-गिर्यां की तरह चेहरा-ए-ख़ंदाँ की तरह
हाथ आ जाए अगर गोशा-ए-दामान-ए-करम
वुसअ'तें दूँ मैं उसे आलम-ए-इम्काँ की तरह
और क्या लाऊँ मैं तकमील-ए-बहाराँ का सुबूत
अपने दामन की तरह अपने गरेबाँ की तरह
आँधियाँ आती हैं गुल करने को 'एहसास' बहुत
झिलमिलाता हूँ चराग़-ए-तह-ए-दामाँ की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsas Muradabadi
our suggestion based on Ehsas Muradabadi
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari