waadi waadi sehra sehra firta raha main deewaana | वादी वादी सहरा सहरा फिरता रहा मैं दीवाना

  - Ejaz Farooqi

waadi waadi sehra sehra firta raha main deewaana
koh mila
to dariya ban kar us ka seena cheer ke guzra
seharaaon ki tund hawaon mein lala ban kar jalta raha
dharti ki aaghosh mili
to pauda ban kar foota
jab aakaash se nazrein miliin
to taair ban ke uda
ghaaron ke andhiyaaron mein main chaand bana
aur aakaash pe suraj ban kar chamka
phir bhi main deewaana raha
apne sapnon khwaabon ki ulti seedhi tasveer banaai
tedhi medhi lakeeren kheenchin
lekin jab ik harf mila
goya noor ki kirnen mere do honton mein simat aayi hain
main ye charaag-e-ala-deen le kar
ghaaron ke andhiyaaron mein khoye hue moti dhundh raha hoon

वादी वादी सहरा सहरा फिरता रहा मैं दीवाना
कोह मिला
तो दरिया बन कर उस का सीना चीर के गुज़रा
सहराओं की तुंद हवाओं में लाला बन कर जलता रहा
धरती की आग़ोश मिली
तो पौदा बन कर फूटा
जब आकाश से नज़रें मिलीं
तो ताइर बन के उड़ा
ग़ारों के अँधियारों में मैं चाँद बना
और आकाश पे सूरज बन कर चमका
फिर भी मैं दीवाना रहा
अपने सपनों ख़्वाबों की उल्टी सीधी तस्वीर बनाई
टेढ़ी मेढ़ी लकीरें खींचीं
लेकिन जब इक हर्फ़ मिला
गोया नूर की किरनें मेरे दो होंटों में सिमट आई हैं
मैं ये चराग़-ए-अला-दीं ले कर
ग़ारों के अँधियारों में खोए हुए मोती ढूँड रहा हूँ

  - Ejaz Farooqi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari