hawa ke ye naqsh | हवा के ये नक़्श

  - Ejaz Farooqi

hawa ke ye naqsh
neele saagar ki uthati maujen
lahakte pedon ki narm shaakhen
gulon ke khilte mehakte lab
kohsaar ki chotiyon pe ye barf ke diye
aabshaar ka naghma-e-dil-nasheen
aasmaan ke daaman mein baadlon ke ravaan-davaan narm narm gaale
vo kook koel ki
vo papeehe ki pee
ye sab naqsh hain hawa ke
ye jism bhi naqsh hai hawa ka
magar kahaan hai hawa
jo phir mujh ko naqsh se naqsh-gar bana de

हवा के ये नक़्श
नीले सागर की उठती मौजें
लहकते पेड़ों की नर्म शाख़ें
गुलों के खिलते महकते लब
कोहसार की चोटियों पे ये बर्फ़ के दिए
आबशार का नग़मा-ए-दिल-नशीं
आसमाँ के दामन में बादलों के रवाँ-दवाँ नर्म नर्म गाले
वो कूक कोयल की
वो पपीहे की पी
ये सब नक़्श हैं हवा के
ये जिस्म भी नक़्श है हवा का
मगर कहाँ है हवा
जो फिर मुझ को नक़्श से नक़्श-गर बना दे

  - Ejaz Farooqi

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari